Image credit: wikimedia.org
Maine ye article hinglish mein likh rahin hun, taki jyada se jyada indian friends ko hit kar sakoon. Par iska English version yahan mil jayega.
Shadi ek bahut bada decision hota hain, kya sirf intellectual people ke liye, kya sirf un logo ke liye jo mehnat karke apna nam banana chahte hain, main nahin bataungi aap apne aap se poochiye.
Reason to write this article:
Kuch din pahle meri ek known se baat hui , is covid mein bhi use apni shadi ki jyada tension thi, aur wo sirf 24 saal ki hain. Ji maine kaha “sirf”. Kuch log kahenge auntyji ko kuch pata nahin shayad, is umar mein to hum 2 bachhe paida kar de. Uske baad unhe apne parents ki property par ya wealth par chod denge. Aapke Maa baap apni marzi de use support or arshiwad kahte hain par jo bacche shadi aur bachhe sirf isliye kar lete hain ki unke parents sambhal lenge use lalach kahte hain. Main phir poochti hoon kya shadi ek bahut bada decision hain sirf un logo ke liyejo mehnat karke apna nam banana chahte hain?
Kyon karni itni choti umar mein shadi, even jahan itne laws aa rahe hain , mera khayal se ek law aur aa jana chahiye ki ladki ki shadi ki umar 28 and ladke ki umar 35 honi chahiye, population ki aadhi samsaya waise hi khatam ho jati hain. Ek average insaan 60-70 saal jeeta hain to kyon itni jaldi hoti hain hame shadi ki 2 major reason
- · Agar ladkiyan hoti rahi to bar bar try karke vansh ko badane wala paida kar hi lenge
- · Movies mein jo life dikhai jati hain uske according apne aapko dhalne ke chakkar mein.
Movies se yad aaya kitne actors ya actresses chahe wo hritik roshan ho, malaika arora ho, jinhone choti umar mein shadi ki aur ab divorced hain. Kuch log hain jo nibha rahe hain par agar aap unke interviews dekhe to lagta hi nahin ki wo shadi nibha rahe hain aisa lagta hain jaise hum tum aam logo ki tarah society ka farz nibha rahe hain. Bahut kam couples and jo ek achi life bita rahe hain shadi ke baad , un mein jayada tar wo log hain jinhone shadi ko seriously liya hain. In logo ki baat karne ke baad ab man mein khayal aa raha hain kya sach mein ye log bhi jo mehnat karke jo mehnat karke apna nam banana chahte hain, wo bhi shadi ko ek bahut bada decision mante hain?
Image credit: pycker.com
Afsaos is baat ka hain, inhi couples ko dekhkar hum logo ne bhi man liya hain ki husband wife ki ladai fashion mein hain. Pati ya patni ke ek do extra marital affairs maaf kar dene chahiye. Sare aam flirting jis tarah se ye dikhate hain sirf apni life ko “happening” dikhane ke liye kya sach mein wo log ek healthy married life jee rahe hain? Kya soch banti ja rahi hain hamari. Main divorce ke jyada favour mein hun nahin but kuch conditions aisee hoti hain ki divorce bahut jaroori ho jata hain par choti choti baton par jab ye famous log bhi divorce lete hain to I am sure shadi unke liye bhi koi bada decision nahin tha, to ye to pakka hain ki shadi ka decision sirf un logo ke liye matter nahin karta jo mehnat karke apna nam banana chahte hain balki hamare jaise common logo ke liye bhi matter karta hain.
Ye ek aisa decision hain jo na sirf aapki khud ki life balki aapke aane wale bachhon ki life ko bhi effect karta hain.
Kya ye samjhane ki jaroorat hain mujhe?
Shadi tab karni chahiye jab ek aadmi or aurat apni zimmedari sahi se nibha sake, na ki experiments kar raaha ho chahe apne parents par depend hokar ya phir apne hone wale partner par. Age 20, 30, 40, 50 ho shadi apni khushi ke liye kijiye, naki ki samaj ko khush karne ke liye.
Ab main na poochoongi na sochane ko kahoongi, ab aapko decision lena hain. Sita ma was 18 year old when she get married, and draupdi ma was 30 years(refer to google for both statements). Aurat hone ki wajah se dukh dono ne dekhe hain par agar age ki baat sachhi hain to aap kis tarah ki life bitana chahoge? Comments mein share jaroor kijiyega.
______________________________________________________________________
Special on BloggingBlogging is not only to show your passion about anything but also helps to make money, connect with new people through your comment box, increase your discussion or communication skills, helps other people with information sharing, makes you a better person, improve your writing skills and above all you get self-promotion. Still, have any doubt mail me at webartrix@gmail.com, I will surely clear your doubts as much I can and as soon as possible.
0 Comments